Tuesday, July 23, 2013

आँखें आमादा थीं उनकी, सच बताने के लिए

aankheN aamaada thiN unkee, sach bataane ke liye
log jo pursidh me the dikhne dikhaane ke liye

kitna jhukta hai zameeN ka pyaar paane ke liye
aasmaaN ko dee bulandi aazmaane ke liye

ham to haiN taiyaar seene se lagaane ke liye
tum badhaa do haath agar haNskar milaane ke liye

rakhshe-dil ka josh fir thoda badhaane ke liye
aid maine fir lagaa di jeet jaane ke liye

jo hanse to bas kisee ka dil jalaane ke liye
wo taras jaate haiN aksar muskaraane ke liye

zere-daam aaye to bas saiyyaad ka muh dekh kar
varna ham aur par hilaate ek daane ke liye

gham sahe, aaNsoo bahaaye, dar-b-dar firte rahe
kee har ik koshish makaaN ko ghar banaane ke liye

आँखें आमादा थीं उनकी, सच बताने के लिए
लोग जो पुर्सिश में थे दिखने दिखाने के लिए

कितना झुकता है ज़मीं का प्यार पाने के लिए
आसमां को दी बुलंदी आज़माने के लिए

हम तो हैं तैयार सीने से लगाने के लिए
तुम बढ़ा दो हाथ अगर हंस कर मिलाने ले लिए

रख्शे-दिल का जोश फिर थोड़ा बढाने के लिए
एड़ मैंने फिर लगा दी, जीत जाने के लिए

जो हँसे तो बस किसी का दिल जलाने के लिए
वो तरस जाते हैं अक्सर मुस्कराने के लिए

ज़ेरे-दाम आये तो बस सैय्याद का मुह देखकर
वर्ना हम और पर हिलाते एक दाने के लिए?

ग़म सहे, आँसू बहाए, दर-ब-दर फिरते रहे
की हर इक कोशिश मकां को घर बनाने के लिए

No comments:

Post a Comment